nazar dekhte hain jigar dekhte hain

By aali-gopalpuriSeptember 25, 2021
nazar dekhte hain jigar dekhte hain
tujhe har taraf jalwa-gar dekhte hain
wo hans kar ada se jidhar dekhte hain
zamane ko zer-o-zabar dekhte hain


yahi hain jo khud-biniyan to tumhin ko
lagegi tumhaari nazar dekhte hain
rahi jab na panw uthane ki taqat
khule aaj zindan ke dar dekhte hain


kahin aa bhi o subh-e-ummid-e-alam
teri rah murgh-e-sahar dekhte hain
palat kar wo aae hain mayyat se meri
yahi khwab hum raat bhar dekhte hain


jo mumkin nahin tere dar tak rasai
to baithe teri rahguzar dekhte hain
kahin bagh mein gar bhadakte hain shoale
to ghabra ke hum baal-o-par dekhte hain


chamakte hain jab aasman par sitare
to hum apne dagh-e-jigar dekhte hain
21347 viewsghazalEnglish