nazar jis waqt bhi un se mili hai

By ustad-azmat-hussain-khanJanuary 5, 2024
nazar jis waqt bhi un se mili hai
'ajab masti ka 'alam de gai hai
sukun-e-dil ki ho koi to surat
gham-e-dauran wabaal-e-zindagi hai


nigahen tishna paimane hain khali
ye maikhane mein kaisi bebasi hai
mayassar ho agar bedari-e-dil
to har zarre mein shan-e-dilbari hai


samajhta ja raha hun gham ki 'azmat
yahi ab tarjuman-e-zindagi hai
main apni dhun mein aage badh gaya tha
mujhe manzil ne khud aawaz di hai


na ghabra raat ki mahrumiyon se
inhin tarikiyon mein raushni hai
ise arbab-e-mai-khana na bhulen
ki 'maikash' mahram-e-baada-kashi hai


54895 viewsghazalEnglish