nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata kisi ko kya mujhe khud bhi yaqin nahin aata tera khayal bhi teri tarah sitamgar hai jahan pe chahiye aana wahin nahin aata jo hone wala hai ab us ki fikr kya kije jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata ye mera dil hai ki manzar ujad basti ka khule hue hain sabhi dar makin nahin aata bichhadna hai to bichhad ja isi do-rahe par ki mod aage safar mein kahin nahin aata