nazar ke samne guzre hue zamane hain

By wasim-nadirMarch 1, 2024
nazar ke samne guzre hue zamane hain
nai ruten hain magar phul sab purane hain
tumhaare sath thahar jaun is jagah kaise
mujhe to aur kai raste banane hain


jo rishte tut gae un ko bhi nibhana hai
hamein to sukhe hue phul bhi sajaane hain
faqir kab se khada hai yahi batane ko
khandar mein dafn abhi aur bhi khazane hain


kahan se laen wo dukh dard bantne wale
yahan to chaaron taraf sirf kar-khane hain
11883 viewsghazalEnglish