nazar ko bhae jo manzar pahan ke nikla hai dhanak wo apne badan par pahan ke nikla hai main aaina hun magar pattharon se kah dena ek aaina hai jo patthar pahan ke nikla hai wo apni aankh ki uryaniyat chhupane ko haya ki aankh pe chadar pahan ke nikla hai chhupa ke rakhta to tu bhi hawas se bach jata magar tu husn ka zewar pahan ke nikla hai zamana us ko kabhi bhi dara nahin sakta khuda ka khauf jo dil par pahan ke nikla hai kulah sar pe nahin munsif-e-zamana ke wo apne sar pe mera sar pahan ke nikla hai