nazar ko waqf-e-hairat kar diya hai use bhi dil se rukhsat kar diya hai barae-nam tha aaram jis ko ghazal kah kar musibat kar diya hai samajhte hain kahan patthar kisi ki magar itmam-e-hujjat kar diya hai gali-kuchon mein jalti raushni ne hasin shamon ko shamat kar diya hai basirat ek daulat hi thi aakhir so daulat ko basirat kar diya hai kai hamdam nikal aae hain jab se zaban ko sirf ghibat kar diya hai sukhan ke bab mein bhi hum ne 'aslam' jo karna tha ba-ujlat kar diya hai