nazar mila ke mere pas aa ke lut liya nazar hati thi ki phir muskura ke lut liya shikast-e-husn ka jalwa dikha ke lut liya nigah nichi kiye sar jhuka ke lut liya duhai hai mere allah ki duhai hai kisi ne mujh se bhi mujh ko chhupa ke lut liya salam us pe ki jis ne utha ke parda-e-dil mujhi mein rah ke mujhi mein sama ke lut liya unhin ke dil se koi us ki azmaten puchhe wo ek dil jise sab kuchh luta ke lut liya yahan to khud teri hasti hai ishq ko darkar wo aur honge jinhen muskura ke lut liya khusha wo jaan jise di gai amanat-e-ishq rahe wo dil jise apna bana ke lut liya nigah dal di jis par hasin aankhon ne use bhi husn-e-mujassam bana ke lut liya bade wo aae dil o jaan ke lutne wale nazar se chhed diya gudguda ke lut liya raha kharab-e-mohabbat hi wo jise tu ne khud apna dard-e-mohabbat dikha ke lut liya koi ye lut to dekhe ki us ne jab chaha tamam hasti-e-dil ko jaga ke lut liya karishma-sazi-e-husn-e-azal are tauba mera hi aaina mujh ko dikha ke lut liya na lutte hum magar un mast ankhdiyon ne 'jigar' nazar bachate hue dabdaba ke lut liya