nazar nahin to faqat bankpan se kya hoga watan mein aaj purane chalan se kya hoga baghair ishq kisi anjuman se kya hoga fasurda-dil ko bahaar-e-chaman se kya hoga abhi to ishq ko talwar bhi uthani hai mahakti zulf gulabi badan se kya hoga jidhar bhi dekhiye mansur o ibn-e-mariyam hain kisi ke shewa-e-dar-o-rasan se kya hoga yahi ki aur bhi ruswa karenge insan ko mizaj-e-shaikh-o-dil-e-barahman se kya hoga tapak raha hai har ek phul ki jabin se lahu zaban pe zikr-e-bahaar-e-chaman se kya hoga andheri raat mein raaton ko pujne walo ye dekhna ki sahar ki kiran se kya hoga nigah-e-waqt badi be-niyaz hoti hai jabin-e-gham-zada o pur-shikan se kya hoga adab ko chahiye khun-e-dil-o-jigar 'saifi' nagina-sazi-e-arbab-e-fan se kya hoga