nazar se qaid-e-tayyun uthai jati hai tajalli-e-rukh-e-jaanan dikhai jati hai jab un ko hausla-e-dil pe e'tibar nahin to phir nazar se nazar kyun milai jati hai khum-o-subu ki zarurat ke hum nahin qail sharab mast nazar se pilai jati hai sitam-nawazi-e-paiham hai ishq ki fitrat fuzul husn pe tohmat lagai jati hai bhula diya hai gham-e-rozgar ne jis ko wo dastan mujhe phir yaad aai jati hai 'shakil' duri-e-manzil se na-umid na ho ab aai jati hai manzil ab aai jati hai