nazar to aa kabhi aankhon ki raushni ban kar zamin-e-khushk ko sairab kar nami ban kar racha hua hai teri kam nigahiyon ka karam nashe ki tarah mere dil mein sarkhushi ban kar kabhi to aa sitam-e-jaan-gusil hi dene ko kabhi guzar unhi rahon se ajnabi ban kar khusha ki aur mila gham ka taziyana hamein khusha wo dard jo chhaya hai naghmagi ban kar hui na un se wafa tum se kya hua 'nahid' abhi talak jiye jati ho bawli ban kar