nazar to aas ki ab ahl-e-asman pe hai
By abhay-kumar-bebakMay 19, 2024
nazar to aas ki ab ahl-e-asman pe hai
du'a ka tir 'abas ajr ki kaman pe hai
zamin nasib kahan dur ke safar se use
wo ek dhup ka tukda jo saeban pe hai
jise jatan se rakkha dil hi dil mein waqt-e-junun
wo raaz shahr mein har ek ki zaban pe hai
tamam shauq dhare ke dhare na rah jaen
junun ke shahr mein aafat hamari jaan pe hai
safar mein chain kahan daur-e-abla-pai
jo haal uthan pe tha ab wahi dhalan pe hai
shikar mein hain yahan ek dusre ke sabhi
kabhi zamin pe kabhi aadmi machan pe hai
koi to kat bata mujh ko tu mere mazi
ki ab ke war teri aan ban shan pe hai
wo shakh-e-zist pe 'bebak' lautta hi nahin
parind dil ka jo ab 'arsh ki udan pe hai

19273 viewsghazal • English