nazar unki nazar se meri Takrai to kya hoga

By riyazi-burhanpuriMay 8, 2022
nazar un ki nazar se meri takrai to kya hoga
qayamat jis ko kahte hain wo yun aai to kya hoga
na aae hosh mein tere jo saudai to kya hoga
agar li fasl-e-gul ne aa ke angdai to kya hoga


ghata uth kar nasheman ko na ras aai to kya hoga
kahin in badliyon mein barq lahrai to kya hoga
kabhi hai dasht-paimai kabhi hai chaak-damani
rahi yunhi junun ki kar-farmai to kya hoga


hai lazim haal mein ai ham-safiro fikr-e-mustaqbil
abhi to fasl-e-gul hai kal khizan aai to kya hoga
ba-zahir be-gharaz sajde ba-baatin khwahish-e-jannat
padi palle jo is saude mein ruswai to kya hoga


tumhaare wada-e-farda pe main hun mutmain lekin
kahin phir lan-tarani ki sada aai to kya hoga
thaka haara musafir dur-e-manzil aur din thoda
agar ghurbat mein hogi sham-e-tanhai to kya hoga


suna to dun unhen rudad-e-gham apni 'riyazi' main
khuda-na-khwasta aankh un ki bhar aai to kya hoga
16280 viewsghazalEnglish