nazren bhi un se milti hain aapas mein ishaare hote hain

nazren bhi un se milti hain aapas mein ishaare hote hain
kal tak jo kisi ke ho na sake wo aaj hamare hote hain

allah re fareb-e-zauq-e-nazar aise bhi nazare hote hain
jhadte hain shararon se gul bhi gul mein bhi sharare hote hain

in halki halki maujon mein duba hai safina kya kahiye
taqdir ki baaten hain warna tinke bhi sahaare hote hain

ummid sahaare ki un se ai dubne wale tauba kar
ye sirf tamashai sare dariya ke kinare hote hain

bimar-e-shab-e-furqat ki hansi aakhir ye udaenge kab tak
hone de tabassum-rez agar ye chand sitare hote hain

ye lala-o-gul ye shams-o-qamar ye naqsh 'musawwir' ye manzar
ek shoala-e-tur-e-sina ke ye sare sharare hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close