nazren milin na apni kabhi guftugu hui kahne ko roz duniya mere ru-ba-ru hui yun hi nahin bana hai tasawwur mein tera aks barson tujhe tarasha hai tab ja ke tu hui pahle pahal to chalte rahe be-niyaz hum thakne lage to manzilon ki justuju hui ek din darakht-e-dil ko mere chhu gaya koi barson ke baad shakh-e-tamanna numu hui pahli dafa hue hain in aankhon se ham-kalam itne adab se pahle kahan guftugu hui socha to hum ne tujh ko kai bar tha magar ek umr baad hum ko teri aarzu hui