nazron se gir gaya to uThaya nahin gaya

By aftab-shahNovember 28, 2024
nazron se gir gaya to uthaya nahin gaya
mujh se wo rutha shakhs manaya nahin gaya
ashkon ko jis ne aankh ka zewar bana diya
aankhon ki chilmanon se hataya nahin gaya


tuta jo ek bar to hasrat hui tamam
mujh se dubara dil bhi lagaya nahin gaya
mujh ko mitane wale ne sab kuchh mita diya
mujh se to us ka nam bhulaya nahin gaya


apnon ne meri soch ko dimak-zada kiya
khushiyon bhara jo ghar tha basaya nahin gaya
us ne mujhe girane ka jab 'ahd kar liya
haara wo shakhs mujh se haraya nahin gaya


65112 viewsghazalEnglish