nazuk aisa nahin kisi ka pet makhmal-e-rang-e-gul hai goya pet nazar aata hai aks kurti ka aaine se bhi hai musaffa pet dard-e-sar kho diya sabihon ka sandal-e-subh ka hai takhta pet ye sabahat ye husn ye jalwa waraq-e-sim-mah hai sara pet naf hai saghar-e-murad ai gul baada-e-husn ka hai mina pet dar yahi hai na chhalke saghar-e-umr hai mai-e-nab ka qaraba pet jam khali nahin hai chehre se kam aaj saqi ne muft kata pet tum ne dam de ke jab milaya phul khub misl-e-habab phula pet saikdon nigle aadmi us ne na bhara azhdar-e-zamin ka pet surkh kurti se ho gaya malum aaftab-e-sahar hai un ka pet dam nahin sine mein samata hai yaad aata hai un ka gora pet dekhne wale kyun na hon majnun rang mein hai ezar-e-laila pet chhatiyan hain turanj-e-zar goya lauh-e-simin hai us pari ka pet lal nifa dikha ke gardun ko haala-e-mah ka rang laya pet shad hote hain dekh kar aashiq sahar-e-id ka hai naqsha pet mu-e-mizhgan hain baal saili ke aaankhon ke samne hai tera pet baat masti ki hazm ho na saki shisha-e-baada ka hai halka pet jaan-o-dil se 'munir' sadqa hai nahin dekha hai ab tak aisa pet