nigah barq nahin chehra aaftab nahin wo aadmi hai magar dekhne ki tab nahin gunah gunah na raha itni baada-noshi ki ab ek shaghl hai kuchh lazzat-e-sharab nahin hamein to dur se aankhen dikhai jati hain naqab lipti hai us par koi itab nahin piye baghair chadhi rahti hai hasinon ko wahan shabab hai kya kam agar sharab nahin bahaar deta hai chhan chhan ke nur chehre ka sar-e-naqab hai jo kuchh tah-e-naqab nahin wo apne aks ko aawaz de ke kahte hain tera jawab to main hun mera jawab nahin use bhi aap ke honton ka pad gaya chaska hazar chhodiye chhutne ki ab sharab nahin buton se parda uthane ki bahas hai bekar khuli dalil hai kaba bhi be-naqab nahin 'jalil' khatm na ho daur-e-jam-e-minai ki is sharab se badh kar koi sharab nahin