nigah-e-husn ne jadu jagae hain kya kya fareb ahl-e-mohabbat ne khae hain kya kya kisi ne wada-e-farda ka aasra de kar hasin khwab-e-tamanna dikhae hain kya kya zamana jin ko samajhta hai dagh-e-mahrumi meri hayat mein wo rang lae hain kya kya na ho saki kabhi takmil-e-arzu phir bhi bisat-e-zehn pe khake banae hain kya kya mata-e-gham kise malum hai ki hum 'ahmad' na jaane pahlu-e-dil mein chhupae hain kya kya