nigah-e-naz ka ek war kar ke chhoD diya

By shakeel-badayuniNovember 19, 2020
nigah-e-naz ka ek war kar ke chhod diya
dil-e-harif ko bedar kar ke chhod diya
hui to hai yunhi tardid-e-ahd-e-lutf-o-karam
dabi zaban se iqrar kar ke chhod diya


chhupe kuchh aise ki ta-zist phir na aae nazar
rahin-e-hasrat-e-didar kar ke chhod diya
mujhe to qaid-e-mohabbat aziz thi lekin
kisi ne mujh ko giraftar kar ke chhod diya


nazar ko jurat-e-takmil-e-bandagi na hui
tawaf-e-kucha-e-dil-dar kar ke chhod diya
khusha wo kashmakash-e-rabt-e-bahami jis ne
dil o dimagh ko be-kar kar ke chhod diya


zahe-nasib ki duniya ne tere gham ne mujhe
masarraton ka talabgar kar ke chhod diya
karam ki aas mein ab kis ke dar pe jae 'shakil'
jab aap hi ne gunahgar kar ke chhod diya


72205 viewsghazalEnglish