nigah par jo paD rahi thi dhul se nikal gae

By hasrat-khan-khatakJanuary 3, 2024
nigah par jo pad rahi thi dhul se nikal gae
samajh rahe the sab ghalat ki bhul se nikal gae
ye mahtab-e-shams hai ye aaftab-e-fikr-o-fan
hijab-e-jaan raha nahin qubul se nikal gae


ye 'ashiqi ke falsafe yaqin-dar-yaqin guman
padha nahin tha zabta school se nikal gae
jhuka nahin saka koi siwa khuda ke nakhuda
usul par date rahe usul se nikal gae


malal-e-jaan na tha kabhi na hai na ho saka kabhi
malal-e-dil ka shukriya malul se nikal gae
kiya to 'ishq hi kiya kabhi rakha na fasla
so wasl se visal se wasul se nikal gae


babul bhi qubul hain qubul hain babul bhi
magar na jaane kya hua wo phul se nikal gae
na hasrat-e-talab rahi na qalb mein khalish koi
hisab-e-jaan pe naz hai husul se nikal gae


45331 viewsghazalEnglish