nigahen muntazir hain kis ki dil ko justuju kya hai mujhe khud bhi nahin malum meri aarzu kya hai badalti ja rahi hai karwaton par karwaten duniya kisi surat nahin khulta jahan-e-rang-o-bu kya hai ye socha dil ko nazr-e-arzu karte hue hum ne nigah-e-husn-e-khud-ara mein dil ki aabru kya hai mujhe ab dekhti hai zindagi yun be-niyazana ki jaise puchhti ho kaun ho tum justuju kya hai hua karti hai dil se guftugu be-khwab raaton mein magar khulta nahin mujh par ki 'akhtar' guftugu kya hai main in aankhon ko kya samjhun ki apni khana-virani jinhen ye bhi nahin malum khun-e-arzu kya hai kiran suraj ki kahti hai phir aaegi shab-e-hijran sahar hoti hai 'akhtar' so raho ye haw-hu kya hai