nigahon mein chamak dil mein KHushi mahsus karta hun

By qateel-shifaiNovember 12, 2020
nigahon mein chamak dil mein khushi mahsus karta hun
ki tere bas mein apni zindagi mahsus karta hun
thaka deti hain jab kaunain ki pahnaiyan mujh ko
tere dar par pahunch kar tazgi mahsus karta hun


ba-majburi muqaddar ke ufuq se jhankne wale
teri aankhon mein ek sharmindagi mahsus karta hun
jawani ko saza-e-lazzat-e-ehsas de dena
main is had par khuda ko aadmi mahsus karta hun


shab-e-akhir falak par timtima kar dubte tare
main apne sath tera dard bhi mahsus karta hun
31914 viewsghazalEnglish