nigar-e-husn ko had se farawan kaun dekhega

By bishan-dayal-shad-dehlviFebruary 26, 2024
nigar-e-husn ko had se farawan kaun dekhega
nigah-e-shauq ko apni pareshan kaun dekhega
sanam-khane mein shakl-e-zabt-e-arman kaun dekhega
tumhaare samne taswir-e-be-jaan kaun dekhega


na dekhun main to husn-e-'ishq-saman kaun dekhega
sukun ki justuju mein nabz-e-tufan kaun dekhega
kahega kaun in ko jaan-e-jaanan kaun dekhega
na honge baam se jab tak numayan kaun dekhega


ba-nutq-e-soz-e-baqi kah rahi hai khak-e-parwana
nasib-e-sham' ab andaz-e-sozan kaun dekhega
shu'ur-e-parda-dari dar-haqiqat jaan rakhta hai
sar-e-mahfil unhen ba-shart-e-iman kaun dekhega


jahan rangini-e-hur-o-tahura sar-basar hogi
wahan ghammazi-e-khushki-e-iman kaun dekhega
gham-e-hasti ka matam hi agar madd-e-nazar hoga
zara sa hosh se le lunga ehsan kaun dekhega


diye raushan kiye hain aaj mehrab-e-tamanna par
jo tum dekho na dekho ye charaghan kaun dekhega
qiyam-e-mustaqil dil mein nahin shayan-e-shan taham
barae-nam hi ho jao mehman kaun dekhega


mazaq-e-'shad' ki nigran rahe chashm-e-karam warna
nigah-e-dil ko yaksar naqsh-e-hairan kaun dekhega
52930 viewsghazalEnglish