nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand man ki lori sa bachche ke dudh katore jaisa chand munni ki bholi baaton si chatkin taron ki kaliyan pappu ki khamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand mujh se puchho kaise kati main ne parbat jaisi raat tum ne to godi mein le kar ghanton chuma hoga chand pardesi suni aankhon mein shoale se lahraate hain bhabi ki chhedon sa baadal aapa ki chutki sa chand tum bhi likhna tum ne us shab kitni bar piya pani tum ne bhi to chhajje upar dekha hoga pura chand