nind aa gai thi manzil-e-irfan se guzar ke chaunke hain hum ab sarhad-e-isyan se guzar ke aankhon mein liye jalwa-e-nairang-e-tamasha aai hai khizan jashn-e-bahaaran se guzar ke yaadon ke jawan qafile aate hi rahenge sarma ke isi barg-e-pur-afshan se guzar ke kanton ko bhi ab baad-e-saba chhed rahi hai phulon ke hasin chaak gareban se guzar ke wahshat ki nai rahguzar dhundh rahe hain hum ahl-e-junun dasht o bayaban se guzar ke ban jaega tara kisi mayus khala mein ye ashk-e-sahar gosha-e-daman se guzar ke aawargi-e-fikr kidhar le ke chali hai sar-manzil-e-azadi-e-insan se guzar ke pai hai nigahon ne teri bazm-e-tamanna raaton ko chinaron ke charaghan se guzar ke ek gardish-e-chashm-e-karam ek mauj-e-nazara kal shab ko mili gardish-e-dauran se guzar ke milne ko to mil jae magar lega bhala kaun sahil ka sukun shorish-e-tufan se guzar ke ek nishtar-e-gham aur sahi ai gham-e-manzil aa dekh to ek roz rag-e-jaan se guzar ke ab dard mein wo kaifiyat-e-dard nahin hai aaya hun jo us bazm-e-gul-afshan se guzar ke