nind aa jae to lamhat mein mar jate hain

By faiz-rahil-khanOctober 29, 2020
nind aa jae to lamhat mein mar jate hain
din se bach nikle badan raat mein mar jate hain
karte hain apni zaban se jo dilon ko zakhmi
dab ke ek din wo isi baat mein mar jate hain


yaad aati hai teri jab bhi gulabi baaten
dub kar tere khayalat mein mar jata hun
jab kabhi jate hain ahbab ki shadi mein hum
jaanen kyun jate hi sadmat mein mar jate hain


ladne ki tab to mitti ke makanon mein hai
kanch-ghar mausam-e-barsat mein mar jate hain
tab koi dub ke pani mein fana hota hai
khwab jab talkhi-e-haalat mein mar jate hain


jab hawa bagh se kahti hai khizan aai hai
baghban phul liye hat mein mar jate hain
70364 viewsghazalEnglish