nind achchhi hai ki kuchh KHwab nikal aate hain
By adnan-asarJanuary 18, 2025
nind achchhi hai ki kuchh khwab nikal aate hain
aur hum ho ke bhi gharqab nikal aate hain
raat marne hi ki tayyari mein kat jati hai
subh phir jine ke asbab nikal aate hain
hum jo ghusse mein bipharte hain to rab shahid hai
khandani adab-adab nikal aate hain
aasmanon ki bulandi se hamari jaanib
kuchh parinde bade nayab nikal aate hain
us ko milta hun to aksar yahi hota hai 'asar'
jaane kis samt se ahbab nikal aate hain

95203 viewsghazal • English