nind ke bojh se palkon ko jhapakti hui aai

By ameer-imamOctober 24, 2020
nind ke bojh se palkon ko jhapakti hui aai
subh jab raat ki galiyon mein bhatakti hui aai
dida-e-khushk mein ek mahi-e-be-ab thi nind
chashma-e-khwab talak aai phadakti hui aai


aur phir kya hua kuchh yaad nahin hai mujh ko
ek bijli thi ki sine mein lapakti hui aai
aaj kya phir kisi aawaz ne baiat mangi
ye meri khamushi jo panw patakti hui aai


raat ghabra gai suraj se kaha al-madade
wo ba-sad-naz jo zulfon ko jhatakti hui aai
ho gai khair tera nam na aaya lab par
ek aahat teri khushbu mein mahakti hui aai


waqt-e-rukhsat meri aankhon ki tarah chup thi jo yaad
ai mere dil teri manind dhadakti hui aai
39826 viewsghazalEnglish