nind palkon ke kinaron pe dhari rahti hai

By hina-ambareenFebruary 6, 2024
nind palkon ke kinaron pe dhari rahti hai
khwab mein sabz jazire ki pari rahti hai
jhad jhankar sa bikhra hua rahta hai dimagh
shakh-e-dil par kai yaadon se hari rahti hai


zehn ek hijr ki wahshat mein dhansa rahta hai
jeb tanhai ke sikkon se bhari rahti hai
us ki table pe kai phul saje rahte hain
farsh par panw ke rakhne ko dari rahti hai


us ko fursat nahin sunne ko meri baat koi
is liye zehn pe aashufta-sari rahti hai
dil dhadak uthta hai har chap pe shayad wo ho
aankh darwaze pe har waqt dhari rahti hai


dekhne ko to nazar aati hai mazbut bahut
ek kamsin magar andar se dari rahti hai
10720 viewsghazalEnglish