nit-nae rang mein nikalta hun

By pritpal-singh-betabNovember 12, 2020
nit-nae rang mein nikalta hun
apne khwabon ke sath chalta hun
tare apne safar mein rahte hain
aur main apni rah chalta hun


gumrahi rah khud nikalti hai
nae raston pe jab nikalta hun
dur rahta hun shah-rahon se
aur pagdandiyon pe chalta hun


panw apne hain laghzishen apni
khud hi girta hun khud sambhalta hun
barf rahta hun sard lamhon mein
dhup ke sath bah nikalta hun


main hi qaus-e-quzah mein hun 'betab'
mausamon mein bhi main badalta hun
60431 viewsghazalEnglish