niyaz-o-naz ki ye shan-e-zebai nahin jati hamari khud-sari un ki khud-arai nahin jati hazaron aaine ho kar muqabil tut jate hain magar husn-e-azal ki shan-e-yaktai nahin jati koi dilkash nazara ho koi dilchasp manzar ho tabiat khud bahal jati hai bahlai nahin jati mohabbat ki haqiqat kam nahin asrar-e-hasti se samajh leta hun lekin mujh se samjhai nahin jati ba-zahir zabt-e-paiham bhi sharik-e-dard-e-ulfat hai 'shakil' is par bhi apne dil ki ruswai nahin jati