numu ke faiz se rang-e-chaman nikhar sa gaya magar bahaar mein dil shorishon se dar sa gaya jafa-e-dost bahut sazgar aai hai kharab ho ki ye dil aur kuchh sanwar sa gaya na jaane baad-e-saba kya payam lai thi ki phul hans to diya phir bhi munh utar sa gaya ba-faiz-e-shauq ye din dekhna nasib hua ki sar se dard ka tufan guzar guzar sa gaya tilism-e-bazm fusun-e-jamal sehr-e-shabab nigah-e-shauq ka daman gulon se bhar sa gaya wo sham ho gai mansub un ki yaad ke nam charagh jal sa gaya dagh-e-dil ubhar sa gaya wo ek shokh ka andaz-e-guftugu 'taban' jigar mein tanz ka nashtar utar utar sa gaya