numu ki khak se utthega phir lahu mera aqab se war kare chahe jang-ju mera lakir khinch ke mujh pe wo phir mujhe dekhe nigar-o-naqsh mein chehra hai hu-ba-hu mera raqib-e-tishna tu ji bhar ke khak chatega chatakh ke tut gaya hath mein subu mera main apni ruh ki tarikiyon mein jhank chuka nikal saka na kamin-gah se adu mera ye rup apne masiha ka dekh kar 'saqib' atak ke rah hi gaya sans dar-gulu mera