nur ki barish ho yun dil ki gali mein ek bar kash takraen wo mujh se tirgi mein ek bar haj bhi kar to jazba-e-ishq-o-wafa ke sath kar ishq bhi haj ki tarah kar zindagi mein ek bar phir hua yun us ka gham mere gale hi pad gaya lag gaya tha wo gale yun hi khushi mein ek bar zindagi-bhar ke ghamon mein ek hi gham hoga azim paida hota hai mujaddid ek sadi mein ek bar de chuka tark-e-talluq ke ishaare wo mujhe guftugu mein barha aur khamoshi mein ek bar hum bhi hain stage par maujud lekin ai 'nabil' hum ko laya jaega bas raushni mein ek bar