nur paiham safar mein rahta hai

By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
nur paiham safar mein rahta hai
us ka chehra nazar mein rahta hai
us se manzil ki azmaten puchho
jo musalsal safar mein rahta hai


pa-e-nazuk sanbhaal kar rakhna
dil teri rah-guzar mein rahta hai
mujh mein khami talashne wale
'aib to har bashar mein rahta hai


khairiyat puchhi shukriya warna
kaun kis ki khabar mein rahta hai
faeda kya lahu jalane se
jab andhera hi ghar mein rahta hai


kya karun le ke is haweli ko
mera mazi khandar mein rahta hai
wo bulandi ko chhu nahin sakta
jo agar aur magar mein rahta hai


21493 viewsghazalEnglish