oDh kar shaal teri yaadon ki ghar jata hun
By aftab-shahNovember 28, 2024
odh kar shaal teri yaadon ki ghar jata hun
ghar na jaun to sar-e-rah bikhar jata hun
sard mausam ke thapedon se jo nakhl-e-gul par
chot padti hai to kuchh aur sanwar jata hun
husn walon pe to deta hun hamesha pahra
wadi-e-'ishq mein be-laus utar jata hun
marne walon ko jalane mein maza aata hai
jine walon pe to main roz hi mar jata hun
soch ko aag dikhata hun tere chehre ki
aag ko dil mein laga kar main nikhar jata hun
din ko kahta hun nahin yaad nahin karna use
sham ko apne hi wa'de se mukar jata hun

84417 viewsghazal • English