pa ke tufan ka ishaara dariya

By abdul-mannan-tarziApril 24, 2024
pa ke tufan ka ishaara dariya
tod deta hai kinara dariya
kaise dubegi bhanwar mein kashti
kaise dega na sahaara dariya


sail-e-himmat hain hamare bazu
dub jaega tumhaara dariya
band afkar ne bandhe lekin
chadh ke utra na hamara dariya


ahl-e-himmat ne duboya sab ko
na-khudaon se na haara dariya
ai asir-e-gham sahil idhar aa
bich dhaare se pukara dariya


himmat-e-tark-e-wafa dub gai
kis ne aankhon mein utara dariya
mauj ne puchh liya kal 'tarzi'
kashti pyari hai ki pyara dariya


16662 viewsghazalEnglish