paband-e-ehtiyat-e-wafa bhi na ho sake hum qaid-e-zabt-e-gham se riha bhi na ho sake dar-o-madar-e-ishq wafa par hai ham-nashin wo kya kare ki jis se wafa bhi na ho sake go umr bhar na mil sake aapas mein ek bar hum ek dusre se juda bhi na ho sake jab juzw ki sifat mein kul ki sifat hain phir wo bashar hi kya jo khuda bhi na ho sake ye faiz-e-ishq tha ki hui har khata muaf wo khush na ho sake to khafa bhi na ho sake wo aastan-e-dost pe kya sar jhukaega jis se buland dast-e-dua bhi na ho sake ye ehtiram tha nigah-e-shauq ka jo tum be-parda ho sake jalwa-numa bhi na ho sake 'makhmur' kuchh na puchhiye majburi-e-hayat achchhi tarah kharab-e-fana bhi na ho sake