pabandi-e-hudud se begana chahiye daman ba-qadr-e-wahshat-e-diwana chahiye hota hai fash girya-e-paiham se raaz-e-ishq ai shama raaz-dari-e-parwana chahiye zauq-e-ubudiyat hai tayyun se be-niyaz ham-surat-e-jabin dar-e-jaanana chahiye bazm-e-niyaz-e-ishq mein hun aashna-e-hosh be-parda aaj phir rukh-e-jaanana chahiye ai zauq-e-ijz jalwa-gah-e-yar hai qarib pa-e-talab mein laghzish-e-mastana chahiye 'tabish' gham-e-hayat hi wajh-e-nashat hai har ek dagh surat-e-paimana chahiye