pad gai dil mein tere tashrif farmane mein dhum bagh mein machti hai jaise fasl-e-gul aane mein dhum teri aankhon ne nashe mein is tarah mara hai josh dalte hain jis tarah bad-mast mai-khane mein dhum chand ke partaw se jun pani mein ho jalwe ka hashr tere munh ke aks ne dali hai paimane mein dhum abr jaise mast ko shorish mein lawe dil ke beach mach gai ek bar un baalon ke khul jaane mein dhum bu-e-mai aati hai munh se jun kali se bu-e-gul kyun 'yaqin' se jaan karte ho mukar jaane mein dhum