paDe hain zad mein sabhi meri aah ke ab tak
By ustad-vajahat-husain-khanJanuary 5, 2024
pade hain zad mein sabhi meri aah ke ab tak
rahe gawah jo jhute gunah ke ab tak
na mohtasib hue haal-e-tabah ke ab tak
wo hain rahin usi rasm-o-rah ke ab tak
gunah kar ke hue jo kabhi na sharminda
bhugat rahe hain natije gunah ke ab tak
bas ek yahi to hai sarmaya-e-hayat mera
hain naqsh dil pe jame teri chah ke ab tak
wo ek nazara-e-dil-doz hum ne dekha tha
sulag rahe hain dariche nigah ke ab tak
unhen bhi manzil-e-maqsud ho 'ata yarab
ruke hue hain musafir jo rah ke ab tak
mukar gae hain kai zakhm de ke wo 'daem'
jo hum se karte the wa'de nibah ke ab tak
rahe gawah jo jhute gunah ke ab tak
na mohtasib hue haal-e-tabah ke ab tak
wo hain rahin usi rasm-o-rah ke ab tak
gunah kar ke hue jo kabhi na sharminda
bhugat rahe hain natije gunah ke ab tak
bas ek yahi to hai sarmaya-e-hayat mera
hain naqsh dil pe jame teri chah ke ab tak
wo ek nazara-e-dil-doz hum ne dekha tha
sulag rahe hain dariche nigah ke ab tak
unhen bhi manzil-e-maqsud ho 'ata yarab
ruke hue hain musafir jo rah ke ab tak
mukar gae hain kai zakhm de ke wo 'daem'
jo hum se karte the wa'de nibah ke ab tak
95710 viewsghazal • English