paDi rahegi agar gham ki dhul shaKHon par

By rajendra-nath-rahbarNovember 13, 2020
padi rahegi agar gham ki dhul shakhon par
udas phul khilenge malul shakhon par
abhi na gulshan-e-urdu ko be-charagh kaho
khile hue hain abhi chand phul shakhon par


nikal pade hain hifazat ko chand kante bhi
hua hai jab bhi gulon ka nuzul shakhon par
hawa ke samne un ki bisat hi kya thi
dikha rahe the bahaaren jo phul shakhon par


nisar-e-gul ho mila hai ye izn bulbul ko
hua hai hukm gul-e-tar ko jhul shakhon par
wo phul pahunche na jaane kahan kahan 'rahbar'
nahin tha jin ko thaharna qubul shakhon par


91058 viewsghazalEnglish