paDta rahta hai aksar ye daura mujh par
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
padta rahta hai aksar ye daura mujh par
main duniya par thuk raha hun duniya mujh par
do pal baith na paya apnon ki mahfil mein
har rishte ne itna qarz nikala mujh par
thodi der ko main bhi achchha lag sakta tha
pahna lekin nahin jacha ye chehra mujh par
khel hai sara pyar-bhari nazron ka teri
koi bhi kurta lag sakta hai achchha mujh par
main ne us se kahin ziyaada lautaya hai
is duniya ne jitna kharch kiya tha mujh par
us ke to khidki darwaze band the sare
tez hawa ne sara zor nikala mujh par

63391 viewsghazal • English