pahan ke pairhan-e-gul saba nikalti hai siyahiyon ke jigar se ziya nikalti hai kabhi to mujh ko bhi ehsas-e-ashnai de wo raushni jo kaf-e-gul pe ja nikalti hai main aankh band karun to bhi hai wahi manzar wo ek shakl har ek ru pe aa nikalti hai sarab-e-fahm se aage kahin hai bahr-e-murad har ek manzil-e-dil naqsh-e-pa nikalti hai kabhi jo khul ke karun baat apne aap se main har ek aarzu gham-ashna nikalti hai hujum-e-aks mein chehra talash kaise karen har ek shakl ehsas-e-khala nikalti hai sarak rahe hain andhere har ek basti se azab-e-abr se qurs-e-wafa nikalti hai mere yaqin ki ghutan aur bhi badhe 'nahid' hawa ho band to mauj-e-bala nikalti hai