pahle bhi sahe hain ranj bahut par aisi ghaDi kab aai hai

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
pahle bhi sahe hain ranj bahut par aisi ghadi kab aai hai
kitni kali kali raaten kitni kadi tanhai hai
mere man ke sagar mein dubo to shayad jaan sako
jo jo aansu main ne piye hain un mein kya gahrai hai


mujh ko mere haal pe chhodo jo biti so bit gai
duniya-bhar se kaun kahe ye gham ki badi ruswai hai
kis kis taur zamane-bhar ke hum ne kachoke khae hain
tum bhi sun kar rone lage yan hans hans 'umr bitai hai


hum be-parwa 'ashiq tere hum gham-e-dauran ko kya jaanen
jis ke karan tujh ko chhoda han us gham ki duhai hai
jal jal kar hum khak hue tab ja ke nigahen thahri hain
hae wo jism-e-naz ki jis mein aaine ki safai hai


jin galiyon mein 'azmi' sahab aap bahut badnam hue
phir bhi aap wahin jate hain is mein kya danai hai
53136 viewsghazalEnglish