pahle jo thi wo dil ki mere baat bhi nahin kuchh sazgar in dinon haalat bhi nahin kya dil ka haal hoga khuda jaane ta-sahar pahli si ab wo taron bhari raat bhi nahin hum ne wafa ka un ko dikhaya hai aaina is mein to barhami ki koi baat bhi nahin sab log ajnabi hain yahan kis ko den sada is shahr mein kisi se mulaqat bhi nahin kis ko sunaen kaun sune kya pata chale dilchasp zindagi ki hikayat bhi nahin hum kya kisi se baat karen mehr-o-mah ki raushan to khud hamare khayalat bhi nahin 'ahmad' ba-qadr-e-zarf hain aasuda sab yahan tishna to koi rind-e-kharabaat bhi nahin