pahle-pahal ghar se nikle ho dhyan rahe

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
pahle-pahal ghar se nikle ho dhyan rahe
kuchh pardes ki likhna gar ausan rahe
likhne wale bura hamein hi likkhenge
apne shahr mein hum tere mehman rahe


dil se teri yaad nikal kar jae kyon
ghar se bahar kyon ghar ka saman rahe
aisa badla apna rang samundar ne
kashtiyan khene wale tak hairan rahe


gahri ninden lane wali hawa chali
sari raat teri aahat par kan rahe
din mein ja kar ek nishan laga aaun
koi to raat ko us ghar ki pahchan rahe


dil aisa aabaad-nagar hai jis mein 'jamal'
gae huon ki yaad sada mehman rahe
84910 viewsghazalEnglish