pahle qabristan aata hai phir apni basti aati hai jaane kitni qabron se ho kar sham-e-hasti aati hai chadh kar sari sharaben jab auqat pe apni aa jati hain chadhta hai dariya-e-khun aur mitti ko masti aati hai raushni us ki dak se aane mein to zamane lag jate hain is dauran ek nur ki chitthi kabhi kabhi dasti aati hai bazar-e-hasti jate hain kya kya khwahish le kar lekin maut kharid ke le aate hain kyun ki zara sasti aati hai kachchi mitti ke 'farhat-ehsas' zara pani mein sambhal kar dariya mein tum khub nahate ho jab bhi masti aati hai