pahle se 'ishq ke wo zamane nahin rahe hum jaise 'ashiqon ke thikane nahin rahe nafrat ki aandhiyon mein giraftar ho gae honton pe chahaton ke tarane nahin rahe hum ne bhi chhod di wo hasinon ki rah-guzar bhaunre bhi phul ke ye diwane nahin rahe manzar hasin khwabon ke dil se utar gae mausam bhi barishon ke suhane nahin rahe tahziben zindagi ki ye pamal ho gain mahfil mein log jab se purane nahin rahe 'abid' hain kaun si ye riwayat ke silsile sinon mein ulfaton ke khazane nahin rahe