pahle se pairahan mera itna udas aur phir pairahan ke husn pe dukh ka libas aur kya khud-kushi sabhi ko ye aawaz deti hain aa patriyon ke pas aa thoda sa pas aur donon ko mat milaiye aankhen hon ya sharab sahra ki pyas aur hai dariya ki pyas aur aage bhi kat lenge tere bin ye zindagi jab itni pi chuke hain to ek do gilas aur in aansuon ne chhod di honton pe kuchh nami yani shahad se jud gai gud ki mithas aur